Zabūr 17
begunāh shaḵẖs kī duā
1dāūd kī duā.
ai rabb, insāf ke liye merī faryād sun, merī āh-o-zārī par dhyān de. merī duā par ġaur kar, kyūṅki vah farebdih hoṅṭoṅ se nahīṅ nikaltī.
2tere huzūr merā insāf kiyā jāe, terī āṅkheṅ un bātoṅ kā mushāhadā kareṅ jo sacch haiṅ.
3tū ne mere dil ko jāṅch liyā, rāt ko merā muāinā kiyā hai. tū ne mujhe bhaṭṭī meṅ ḍāl diyā tāki nāpāk chīzeṅ dūr kare, go aisī koī chīz nahīṅ milī. kyūṅki maiṅ ne pūrā irādā kar liyā hai ki mere muṅh se burī bāt nahīṅ niklegī.
4jo kuchh bhī dūsre karte haiṅ maiṅ ne ḵẖud tere muṅh ke farmān ke tābe rah kar apne āp ko zālimoṅ kī rāhoṅ se dūr rakhā hai.
5maiṅ qadam-ba-qadam terī rāhoṅ meṅ rahā, mere pāoṅ kabhī na ḍagamagāe.
6ai allāh, maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyūṅki tū merī sunegā. kān lagā kar merī duā ko sun.
7tū jo apne dahane hāth se unheṅ rihāī detā hai jo apne muḵẖālifoṅ se tujh meṅ panāh lete haiṅ, mojizānā taur par apnī shafqat kā izhār kar.
8āṅkh kī putlī kī tarah merī hifāzat kar, apne paroṅ ke sāy meṅ mujhe chhupā le.
9un bedīnoṅ se mujhe mahfūz rakh jo mujh par tabāhakun hamle kar rahe haiṅ, un dushmanoṅ se jo mujhe gher kar mār ḍālne kī koshish kar rahe haiṅ.
10vah sarkash ho gae haiṅ, un ke muṅh ghamaṅḍ kī bāteṅ karte haiṅ.
11jidhar bhī ham qadam uṭhāeṅ vahāṅ vah bhī pahuṅch jāte haiṅ. ab unhoṅ ne hameṅ gher liyā hai, vah ghūr ghūr kar hameṅ zamīn par paṭaḵẖne kā mauqā ḍhūṅḍ rahe haiṅ.
12vah us sherbabar kī mānind haiṅ jo shikār ko phāṛne ke liye taṛaptā hai, us javān sher kī mānind jo tāk meṅ baiṭhā hai.
13ai rabb, uṭh aur un kā sāmnā kar, unheṅ zamīn par paṭaḵẖ de! apnī talvār se merī jān ko bedīnoṅ se bachā.
14ai rabb, apne hāth se mujhe in se chhuṭkārā de. unheṅ to is duniyā meṅ apnā hissā mil chukā hai. kyūṅki tū ne un ke peṭ ko apne māl se bhar diyā, balki un ke beṭe bhī ser ho gae haiṅ aur itnā bāqī hai ki vah apnī aulād ke liye bhī kāfī kuchh chhoṛ jāeṅge.
15lekin maiṅ ḵẖud rāstbāz sābit ho kar tere chihare kā mushāhadā karūṅgā, maiṅ jāg kar terī sūrat se ser ho jāūṅgā.