Zabūr 19

maḵẖlūqāt meṅ allāh kā jalāl

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.

āsmān allāh ke jalāl kā elān karte haiṅ, āsmānī gumbad us ke hāthoṅ kā kām bayān kartā hai.

2ek din dūsre ko ittilā detā, ek rāt dūsrī ko ḵẖabar pahuṅchātī hai,

3lekin zabān se nahīṅ. go un kī āvāz sunāī nahīṅ detī,

4to bhī un kī āvāz nikal kar pūrī duniyā meṅ sunāī detī, un ke alfāz duniyā kī intihā tak pahuṅch jāte haiṅ. vahāṅ allāh ne āftāb ke liye ḵẖaimā lagāyā hai.

5jis tarah dūlhā apnī ḵẖwābgāh se nikaltā hai usī tarah sūraj nikal kar pahalavān kī tarah apnī dauṛ dauṛne par ḵẖushī manātā hai.

6āsmān ke ek sire se chaṛh kar us kā chakkar dūsre sire tak lagtā hai. us kī taptī garmī se koī bhī chīz poshīdā nahīṅ rahatī.

7rabb kī sharīat kāmil hai, us se jān meṅ jān ā jātī hai. rabb ke ahkām qābil-e-etimād haiṅ, un se sādālauh dānishmand ho jātā hai.

8rabb kī hidāyāt bā-insāf haiṅ, un se dil bāġ bāġ ho jātā hai. rabb ke ahkām pāk haiṅ, un se āṅkheṅ chamak uṭhtī haiṅ.

9rabb kā ḵẖauf pāk hai aur abad tak qāim rahegā. rabb ke farmān sacche aur sab ke sab rāst haiṅ.

10vah sone balki ḵẖālis sone ke ḍher se ziyādā marġūb haiṅ. vah shahad balki chhatte ke tāzā shahad se ziyādā mīṭhe haiṅ.

11un se tere ḵẖādim ko āgāh kiyā jātā hai, un par amal karne se baṛā ajr miltā hai.

12jo ḵẖatāeṅ beḵẖabrī meṅ sarzad huīṅ kaun unheṅ jāntā hai? mere poshīdā gunāhoṅ ko muāf kar!

13apne ḵẖādim ko gustākhoṅ se mahfūz rakh tāki vah mujh par hukūmat na kareṅ. tab maiṅ beilzām ho kar saṅgīn gunāh se pāk rahūṅgā.

14ai rabb, baḵẖsh de ki mere muṅh kī bāteṅ aur mere dil kī soch-bichār tujhe pasand āe. tū hī merī chaṭān aur merā chhuṛāne vālā hai.