Zabūr 20

fatah ke liye duā

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.

musībat ke din rabb terī sune, yāqūb ke ḵẖudā kā nām tujhe mahfūz rakhe.

2vah maqdis se terī madad bheje, vah siyyūn se terā sahārā bane.

3vah terī ġallā kī nazreṅ yād kare, terī bhasm hone vālī qurbāniyāṅ qabūl farmāe. (silāh)

4vah tere dil kī ārzū pūrī kare, tere tamām mansūboṅ ko kāmyābī baḵẖshe.

5tab ham terī najāt kī ḵẖushī manāeṅge, ham apne ḵẖudā ke nām meṅ fatah kā jhaṅḍā gāṛeṅge. rabb terī tamām guzārisheṅ pūrī kare.

6ab maiṅ ne jān liyā hai ki rabb apne masah kie hue bādshāh kī madad kartā hai. vah apne muqaddas āsmān se us kī sun kar apne dahane hāth kī qudrat se use chhuṭkārā degā.

7bāz apne rathoṅ par, bāz apne ghoṛoṅ par faḵẖar karte haiṅ, lekin ham rabb apne ḵẖudā ke nām par faḵẖar kareṅge.

8hamāre dushman jhuk kar gir jāeṅge, lekin ham uṭh kar mazbūtī se khaṛe raheṅge.

9ai rabb, hamārī madad farmā! bādshāh hamārī sune jab ham madad ke liye pukāreṅ.