Zabūr 21

bādshāh ke liye allāh kī madad

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.

ai rabb, bādshāh terī quvvat dekh kar shādmān hai, vah terī najāt kī kitnī baṛī ḵẖushī manātā hai.

2tū ne us kī dilī ḵẖwāhish pūrī kī aur inkār na kiyā jab us kī ārzū ne hoṅṭoṅ par alfāz kā rūp dhārā. (silāh)

3kyūṅki tū acchhī acchhī barkateṅ apne sāth le kar us se milne āyā, tū ne use ḵẖālis sone kā tāj pahanāyā.

4us ne tujh se zindagī pāne kī ārzū kī to tū ne use umr kī darāzī baḵẖshī, mazīd itne din ki un kī intihā nahīṅ.

5terī najāt se use baṛī izzat hāsil huī, tū ne use shān-o-shaukat se ārāstā kiyā.

6kyūṅki tū use abad tak barkat detā, use apne chihare ke huzūr lā kar nihāyat ḵẖush kar detā hai.

7kyūṅki bādshāh rabb par etimād kartā hai, allāh t’ālā kī shafqat use ḍagmagāne se bachāegī.

8tere dushman tere qabze meṅ ā jāeṅge, jo tujh se nafrat karte haiṅ unheṅ terā dahanā hāth pakaṛ legā.

9jab tū un par zāhir hogā to vah bhaṛaktī bhaṭṭī kī sī musībat meṅ phaṅs jāeṅge. rabb apne ġazab meṅ unheṅ haṛap kar legā, aur āg unheṅ khā jāegī.

10tū un kī aulād ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālegā, insānoṅ meṅ un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.

11go vah tere ḵẖilāf sāzisheṅ karte haiṅ to bhī un ke bure mansūbe nākām raheṅge.

12kyūṅki tū unheṅ bhagā kar un ke chiharoṅ ko apne tīroṅ kā nishānā banā degā.

13ai rabb, uṭh aur apnī qudrat kā izhār kar tāki ham terī qudrat kī tamjīd meṅ sāz bajā kar gīt gāeṅ.