Zabūr 24
bādshāh kā istiqbāl
1dāūd kā zabūr.
zamīn aur jo kuchh us par hai rabb kā hai, duniyā aur us ke bāshinde usī ke haiṅ. 2kyūṅki us ne zamīn kī bunyād samundaroṅ par rakhī aur use daryāoṅ par qāim kiyā.
3kis ko rabb ke pahāṛ par chaṛhne kī ijāzat hai? kaun us ke muqaddas maqām meṅ khaṛā ho saktā hai?
4vah jis ke hāth pāk aur dil sāf haiṅ, jo na fareb kā irādā rakhtā, na qasam khā kar jhūṭ boltā hai.
5vah rabb se barkat pāegā, use apnī najāt ke ḵẖudā se rāstī milegī.
6yah hogā un logoṅ kā hāl jo allāh kī marzī darayāft karte, jo tere chihare ke tālib hote haiṅ, ai yāqūb ke ḵẖudā. (silāh)
7ai phāṭko, khul jāo! ai qadīm darvāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā bādshāh dāḵẖil ho jāe.
8jalāl kā bādshāh kaun hai? rabb jo qavī aur qādir hai, rabb jo jaṅg meṅ zorāvar hai.
9ai phāṭko, khul jāo! ai qadīm darvāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā bādshāh dāḵẖil ho jāe.
10jalāl kā bādshāh kaun hai? rabb-ul-afwāj, vahī jalāl kā bādshāh hai. (silāh