Zabūr 25

muāfī aur rāhanumāī ke liye duā

1dāūd kā zabūr.

ai rabb, maiṅ terā ārzūmand hūṅ.

2ai mere ḵẖudā, tujh par maiṅ bharosā rakhtā hūṅ. mujhe sharmindā na hone de ki mere dushman mujh par shādiyānā bajāeṅ.

3kyūṅki jo bhī tujh par ummīd rakhe vah sharmindā nahīṅ hogā jabki jo bilāvajah bevafā hote haiṅ vahī sharmindā ho jāeṅge.

4ai rabb, apnī rāheṅ mujhe dikhā, mujhe apne rāstoṅ kī tālīm de.

5apnī sacchāī ke mutābiq merī rāhanumāī kar, mujhe tālīm de. kyūṅki tū merī najāt kā ḵẖudā hai. din bhar maiṅ tere intizār meṅ rahatā hūṅ.

6ai rabb, apnā vah raham aur meharbānī yād kar jo tū qadīm zamāne se kartā āyā hai.

7ai rabb, merī javānī ke gunāhoṅ aur merī bevafā harkatoṅ ko yād na kar balki apnī bhalāī kī ḵẖātir aur apnī shafqat ke mutābiq merā ḵẖayāl rakh.

8rabb bhalā aur ādil hai, is liye vah gunāhgāroṅ ko sahīh rāh par chalne kī talqīn kartā hai.

9vah farotanoṅ kī insāf kī rāh par rāhanumāī kartā, halīmoṅ ko apnī rāh kī tālīm detā hai.

10jo rabb ke ahd aur ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅ unheṅ rabb meharbānī aur vafādārī kī rāhoṅ par le chaltā hai.

11ai rabb, merā qusūr saṅgīn hai, lekin apne nām kī ḵẖātir use muāf kar.

12rabb kā ḵẖauf mānne vālā kahāṅ hai? rabb ḵẖud use us rāh kī tālīm degā jo use chunnā hai.

13tab vah ḵẖushhāl rahegā, aur us kī aulād mulk ko mīrās meṅ pāegī.

14jo rabb kā ḵẖauf māneṅ unheṅ vah apne hamrāz banā kar apne ahd kī tālīm detā hai.

15merī āṅkheṅ rabb ko taktī rahatī haiṅ, kyūṅki vahī mere pāoṅ ko jāl se nikāl letā hai.

16merī taraf māil ho jā, mujh par meharbānī kar! kyūṅki maiṅ tanhā aur musībatzadā hūṅ.

17mere dil kī pareshāniyāṅ dūr kar, mujhe merī takālīf se rihāī de.

18merī musībat aur taṅgī par nazar ḍāl kar merī ḵẖatāoṅ ko muāf kar.

19dekh, mere dushman kitne ziyādā haiṅ, vah kitnā zulm karke mujh se nafrat karte haiṅ.

20merī jān ko mahfūz rakh, mujhe bachā! mujhe sharmindā na hone de, kyūṅki maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ.

21begunāhī aur diyānatdārī merī paharādārī kareṅ, kyūṅki maiṅ tere intizār meṅ rahatā hūṅ.

22ai allāh, fidyā de kar isrāīl ko us kī tamām takālīf se āzād kar