Zabūr 26
begunāh kā iqrār aur iltijā
1dāūd kā zabūr.
ai rabb, merā insāf kar, kyūṅki merā chāl-chalan bequsūr hai. maiṅ ne rabb par bharosā rakhā hai, aur maiṅ ḍāṅvāṅḍol nahīṅ ho jāūṅgā.
2ai rabb, mujhe jāṅch le, mujhe āzmā kar dil kī tah tak merā muāinā kar.
3kyūṅki terī shafqat merī āṅkhoṅ ke sāmne rahī hai, maiṅ terī sacchī rāh par chaltā rahā hūṅ.
4na maiṅ dhokebāzoṅ kī majlis meṅ baiṭhtā, na chālāk logoṅ se rifāqat rakhtā hūṅ.
5mujhe sharīroṅ ke ijatimāoṅ se nafrat hai, bedīnoṅ ke sāth maiṅ baiṭhtā bhī nahīṅ.
6ai rabb, maiṅ apne hāth dho kar apnī begunāhī kā izhār kartā hūṅ. maiṅ terī qurbāngāh ke gird phir kar
7buland āvāz se terī hamd-o-sanā kartā, tere tamām mojizāt kā elān kartā hūṅ.
8ai rabb, terī sukūnatgāh mujhe piyārī hai, jis jagah terā jalāl ṭhahartā hai vah mujhe azīz hai.
9merī jān ko mujh se chhīn kar mujhe gunāhgāroṅ meṅ shāmil na kar! merī zindagī ko miṭā kar mujhe ḵẖūṅḵẖwāroṅ meṅ shumār na kar,
10aise logoṅ meṅ jin ke hāth sharmanāk harkatoṅ se ālūdā haiṅ, jo har vaqt rishvat khāte haiṅ.
11kyūṅki maiṅ begunāh zindagī guzārtā hūṅ. fidyā de kar mujhe chhuṭkārā de! mujh par meharbānī kar!
12mere pāoṅ hamvār zamīn par qāim ho gae haiṅ, aur maiṅ ijatimāoṅ meṅ rabb kī sitāish karūṅgā.