Zabūr 27

allāh se rifāqat

1dāūd kā zabūr.

rabb merī raushnī aur merī najāt hai, maiṅ kis se ḍarūṅ? rabb merī jān kī panāhgāh hai, maiṅ kis se dahshat khāūṅ?

2jab sharīr mujh par hamlā kareṅ tāki mujhe haṛap kar leṅ, jab mere muḵẖālif aur dushman mujh par ṭūṭ paṛeṅ to vah ṭhokar khā kar gir jāeṅge.

3go fauj mujhe gher le merā dil ḵẖauf nahīṅ khāegā, go mere ḵẖilāf jaṅg chhiṛ jāe merā bharosā qāim rahegā.

4rabb se merī ek guzārish hai, maiṅ ek hī bāt chāhatā hūṅ. yah ki jīte jī rabb ke ghar meṅ rah kar us kī shafqat se lutf’andoz ho sakūṅ, ki us kī sukūnatgāh meṅ ṭhahar kar mahav-e-ḵẖayāl rah sakūṅ.

5kyūṅki musībat ke din vah mujhe apnī sukūnatgāh meṅ panāh degā, mujhe apne ḵẖaime meṅ chhupā legā, mujhe uṭhā kar ūṅchī chaṭān par rakhegā.

6ab maiṅ apne dushmanoṅ par sarbuland hūṅgā, agarchi unhoṅ ne mujhe gher rakhā hai. maiṅ us ke ḵẖaime meṅ ḵẖushī ke nāre lagā kar qurbāniyāṅ pesh karūṅgā, sāz bajā kar rabb kī madahsarāī karūṅgā.

7ai rabb, merī āvāz sun jab maiṅ tujhe pukārūṅ, mujh par meharbānī karke merī sun.

8merā dil tujhe yād dilātā hai ki tū ne ḵẖud farmāyā, “mere chihare ke tālib raho!” ai rabb, maiṅ tere hī chihare kā tālib rahā hūṅ.

9apne chihare ko mujh se chhupāe na rakh, apne ḵẖādim ko ġusse se apne huzūr se na nikāl. kyūṅki tū hī merā sahārā rahā hai. ai merī najāt ke ḵẖudā, mujhe na chhoṛ, mujhe tark na kar.

10kyūṅki mere māṅ-bāp ne mujhe tark kar diyā hai, lekin rabb mujhe qabūl karke apne ghar meṅ lāegā.

11ai rabb, mujhe apnī rāh kī tarbiyat de, hamvār rāste par merī rāhanumāī kar tāki apne dushmanoṅ se mahfūz rahūṅ.

12mujhe muḵẖālifoṅ ke lālach meṅ na āne de, kyūṅki jhūṭe gavāh mere ḵẖilāf uṭh khaṛe hue haiṅ jo tashaddud karne ke liye tayyār haiṅ.

13lekin merā pūrā īmān yah hai ki maiṅ zindoṅ ke mulk meṅ rah kar rabb kī bhalāī dekhūṅgā.

14rabb ke intizār meṅ rah! mazbūt aur diler ho, aur rabb ke intizār meṅ rah