Zabūr 28
madad ke liye duā aur javāb ke liye shukrguzārī
1dāūd kā zabūr.
ai rabb, maiṅ tujhe pukārtā hūṅ. ai merī chaṭān, ḵẖāmoshī se apnā muṅh mujh se na pher. kyūṅki agar tū chup rahe to maiṅ maut ke gaṛhe meṅ utarne vāloṅ kī mānind ho jāūṅgā.
2merī iltijāeṅ sun jab maiṅ chīḵẖte chillāte tujh se madad māṅgtā hūṅ, jab maiṅ apne hāth terī sukūnatgāh ke muqaddastarīn kamre kī taraf uṭhātā hūṅ.
3mujhe un bedīnoṅ ke sāth ghasīṭ kar sazā na de jo ġalat kām karte haiṅ, jo apne paṛosiyoṅ se bazāhir dostānā bāteṅ karte, lekin dil meṅ un ke ḵẖilāf bure mansūbe bāṅdhte haiṅ.
4unheṅ un kī harkatoṅ aur bure kāmoṅ kā badlā de. jo kuchh un ke hāthoṅ se sarzad huā hai us kī pūrī sazā de. unheṅ utnā hī nuqsān pahuṅchā de jitnā unhoṅ ne dūsroṅ ko pahuṅchāyā hai.
5kyūṅki na vah rabb ke āmāl par, na us ke hāthoṅ ke kām par tavajjuh dete haiṅ. allāh unheṅ ḍhā degā aur dubārā kabhī tāmīr nahīṅ karegā.
6rabb kī tamjīd ho, kyūṅki us ne merī iltijā sun lī.
7rabb merī quvvat aur merī ḍhāl hai. us par mere dil ne bharosā rakhā, us se mujhe madad milī hai. merā dil shādiyānā bajātā hai, maiṅ gīt gā kar us kī sitāish kartā hūṅ.
8rabb apnī qaum kī quvvat aur apne masah kie hue ḵẖādim kā najātabaḵẖsh qil’ā hai.
9ai rabb, apnī qaum ko najāt de! apnī mīrās ko barkat de! un kī gallābānī karke unheṅ hameshā tak uṭhāe rakh.