Zabūr 29
rabb ke jalāl kī tamjīd
1dāūd kā zabūr.
ai allāh ke farzando, rabb kī tamjīd karo! rabb ke jalāl aur qudrat kī sitāish karo!
2rabb ke nām ko jalāl do. muqaddas libās se ārāstā ho kar rabb ko sijdā karo.
3rabb kī āvāz samundar ke ūpar gūṅjtī hai. jalāl kā ḵẖudā garajtā hai, rabb gahare pānī ke ūpar garajtā hai.
4rabb kī āvāz zordār hai, rabb kī āvāz purjalāl hai.
5rabb kī āvāz deodār ke daraḵẖtoṅ ko toṛ ḍāltī hai, rabb lubnān ke deodār ke daraḵẖtoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar detā hai.
6vah lubnān ko bachhṛe aur koh-e-siryūn [a] siryūn harmūn kā dūsrā nām hai. ko jaṅglī bail ke bacche kī tarah kūdne phāṅdne detā hai.
7rabb kī āvāz āg ke shole bhaṛkā detī hai.
8rabb kī āvāz registān ko hilā detī hai, rabb dasht-e-qādis ko kāṁpne detā hai.
9rabb kī āvāz sun kar hirnī dard-e-zah meṅ mubtalā ho jātī aur jaṅgaloṅ ke patte jhaṛ jāte haiṅ. lekin us kī sukūnatgāh meṅ sab pukārte haiṅ, “jalāl!”
10rabb sailāb ke ūpar taḵẖtnashīn hai, rabb bādshāh kī haisiyat se abad tak taḵẖtnashīn hai.
11rabb apnī qaum ko taqviyat degā, rabb apne logoṅ ko salāmatī kī barkat degā.