Zabūr 3

subah ko madad ke liye duā

1dāūd kā zabūr. us vaqt jab use apne beṭe abīslūm se bhāgnā paṛā.

ai rabb, mere dushman kitne ziyādā haiṅ, kitne log mere ḵẖilāf uṭh khaṛe hue haiṅ!

2mere bāre meṅ bahutere kah rahe haiṅ, “allāh ise chhuṭkārā nahīṅ degā.” (silāh [a] silāh ġāliban gāne bajāne ke bāre meṅ koī hidāyat hai. mufassirīn meṅ is ke matlab ke bāre meṅ ittifāq-e-rāy nahīṅ hotī. )

3lekin tū ai rabb, chāroṅ taraf merī hifāzat karne vālī ḍhāl hai. tū merī izzat hai jo mere sar ko uṭhāe rakhtā hai.

4maiṅ buland āvāz se rabb ko pukārtā hūṅ, aur vah apne muqaddas pahāṛ se merī suntā hai. (silāh)

5maiṅ ārām se leṭ kar so gayā, phir jāg uṭhā, kyūṅki rabb ḵẖud mujhe saṁbhāle rakhtā hai.

6un hazāroṅ se maiṅ nahīṅ ḍartā jo mujhe ghere rakhte haiṅ.

7ai rabb, uṭh! ai mere ḵẖudā, mujhe rihā kar! kyūṅki tū ne mere tamām dushmanoṅ ke muṅh par thappaṛ mārā, tū ne bedīnoṅ ke dāṅtoṅ ko toṛ diyā hai.

8rabb ke pās najāt hai. terī barkat terī qaum par āe. (silāh

[a] silāh ġāliban gāne bajāne ke bāre meṅ koī hidāyat hai. mufassirīn meṅ is ke matlab ke bāre meṅ ittifāq-e-rāy nahīṅ hotī.