Zabūr 30
maut se chhuṭkāre par shukrguzārī
1dāūd kā zabūr. rabb ke ghar kī maḵẖsūsiyat ke mauqe par gīt.
ai rabb, maiṅ terī sitāish kartā hūṅ, kyūṅki tū ne mujhe gaharāiyoṅ meṅ se khaiṅch nikālā. tū ne mere dushmanoṅ ko mujh par baġleṅ bajāne kā mauqā nahīṅ diyā.
2ai rabb mere ḵẖudā, maiṅ ne chīḵẖte chillāte hue tujh se madad māṅgī, aur tū ne mujhe shifā dī.
3ai rabb, tū merī jān ko pātāl se nikāl lāyā, tū ne merī jān ko maut ke gaṛhe meṅ utarne se bachāyā hai.
4ai īmānadāro, sāz bajā kar rabb kī tārīf meṅ gīt gāo. us ke muqaddas nām kī hamd-o-sanā karo.
5kyūṅki vah lamhā bhar ke liye ġusse hotā, lekin zindagī bhar ke liye meharbānī kartā hai. go shām ko ronā paṛe, lekin subah ko ham ḵẖushī manāeṅge.
6jab hālāt pursukūn the to maiṅ bolā, “maiṅ kabhī nahīṅ ḍagmagāūṅgā.”
7ai rabb, jab tū mujh se ḵẖush thā to tū ne mujhe mazbūt pahāṛ par rakh diyā. lekin jab tū ne apnā chiharā mujh se chhupā liyā to maiṅ saḵẖt ghabrā gayā.
8ai rabb, maiṅ ne tujhe pukārā, hāṅ ḵẖudāvand se maiṅ ne iltijā kī,
9“kyā fāidā hai agar maiṅ halāk ho kar maut ke gaṛhe meṅ utar jāūṅ? kyā ḵẖāk terī sitāish karegī? kyā vah logoṅ ko terī vafādārī ke bāre meṅ batāegī?
10ai rabb, merī sun, mujh par meharbānī kar. ai rabb, merī madad karne ke liye ā!”
11tū ne merā mātam ḵẖushī ke nāch meṅ badal diyā, tū ne mere mātmī kapṛe utār kar mujhe shādmānī se mulabbas kiyā.
12kyūṅki tū chāhatā hai ki merī jān ḵẖāmosh na ho balki gīt gā kar terī tamjīd kartī rahe. ai rabb mere ḵẖudā, maiṅ abad tak terī hamd-o-sanā karūṅgā.