Zabūr 33

allāh kī hukūmat aur madad kī tārīf

1ai rāstbāzo, rabb kī ḵẖushī manāo! kyūṅki munāsib hai ki sīdhī rāh par chalne vāle us kī sitāish kareṅ.

2sarod bajā kar rabb kī hamd-o-sanā karo. us kī tamjīd meṅ das tāroṅ vālā sāz bajāo.

3us kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, mahārat se sāz bajā kar ḵẖushī ke nāre lagāo.

4kyūṅki rabb kā kalām sacchā hai, aur vah har kām vafādārī se kartā hai.

5use rāstbāzī aur insāf piyāre haiṅ, duniyā rabb kī shafqat se bharī huī hai.

6rabb ke kahane par āsmān ḵẖalaq huā, us ke muṅh ke dam se sitāroṅ kā pūrā lashkar vujūd meṅ āyā.

7vah samundar ke pānī kā baṛā ḍher jamā kartā, pānī kī gaharāiyoṅ ko godāmoṅ meṅ mahfūz rakhtā hai.

8kul duniyā rabb kā ḵẖauf māne, zamīn ke tamām bāshinde us se dahshat khāeṅ.

9kyūṅki us ne farmāyā to fauran vujūd meṅ āyā, us ne hukm diyā to usī vaqt qāim huā.

10rabb aqvām kā mansūbā nākām hone detā, vah ummatoṅ ke irādoṅ ko shikast detā hai.

11lekin rabb kā mansūbā hameshā tak kāmyāb rahatā, us ke dil ke irāde pusht-dar-pusht qāim rahate haiṅ.

12mubārak hai vah qaum jis kā ḵẖudā rabb hai, vah qaum jise us ne chun kar apnī mīrās banā liyā hai.

13rabb āsmān se nazar ḍāl kar tamām insānoṅ kā mulāhazā kartā hai.

14apne taḵẖt se vah zamīn ke tamām bāshindoṅ kā muāinā kartā hai.

15jis ne un sab ke diloṅ ko tashkīl diyā vah un ke tamām kāmoṅ par dhyān detā hai.

16bādshāh kī baṛī fauj use nahīṅ chhuṛātī, aur sūrme kī baṛī tāqat use nahīṅ bachātī.

17ghoṛā bhī madad nahīṅ kar saktā. jo us par ummīd rakhe vah dhokā khāegā. us kī baṛī tāqat chhuṭkārā nahīṅ detī.

18yaqīnan rabb kī āṅkh un par lagī rahatī hai jo us kā ḵẖauf mānte aur us kī meharbānī ke intizār meṅ rahate haiṅ,

19ki vah un kī jān maut se bachāe aur kāl meṅ mahfūz rakhe.

20hamārī jān rabb ke intizār meṅ hai. vahī hamārā sahārā, hamārī ḍhāl hai.

21hamārā dil us meṅ ḵẖush hai, kyūṅki ham us ke muqaddas nām par bharosā rakhte haiṅ.

22ai rabb, terī meharbānī ham par rahe, kyūṅki ham tujh par ummīd rakhte haiṅ.