Zabūr 34
allāh kī hifāzat
1dāūd kā yah zabūr us vaqt se mutālliq hai jab us ne filistī bādshāh abīmlik ke sāmne pāgal banne kā rūp bhar liyā. yah dekh kar bādshāh ne use bhagā diyā. chale jāne ke bād dāūd ne yah gīt gāyā.
har vaqt maiṅ rabb kī tamjīd karūṅgā, us kī hamd-o-sanā hameshā hī mere hoṅṭoṅ par rahegī.
2merī jān rabb par faḵẖar karegī. musībatzadā yah sun kar ḵẖush ho jāeṅ.
3āo, mere sāth rabb kī tāzīm karo. āo, ham mil kar us kā nām sarbuland kareṅ.
4maiṅ ne rabb ko talāsh kiyā to us ne merī sunī. jin chīzoṅ se maiṅ dahshat khā rahā thā un sab se us ne mujhe rihāī dī.
5jin kī āṅkheṅ us par lagī raheṅ vah ḵẖushī se chamkeṅge, aur un ke muṅh sharmindā nahīṅ hoṅge.
6is nāchār ne pukārā to rabb ne us kī sunī, us ne use us kī tamām musībatoṅ se najāt dī.
7jo rabb kā ḵẖauf māneṅ un ke ird-gird us kā farishtā ḵẖaimāzan ho kar un ko bachāe rakhtā hai.
8rabb kī bhalāī kā tajribā karo. mubārak hai vah jo us meṅ panāh le.
9ai rabb ke muqaddasīn, us kā ḵẖauf māno, kyūṅki jo us kā ḵẖauf māneṅ unheṅ kamī nahīṅ.
10javān sherbabar kabhī zarūratmand aur bhūke hote haiṅ, lekin rabb ke tāliboṅ ko kisī bhī acchhī chīz kī kamī nahīṅ hogī.
11ai baccho, āo, merī bāteṅ suno! maiṅ tumheṅ rabb ke ḵẖauf kī tālīm dūṅgā.
12kaun maze se zindagī guzārnā aur acchhe din dekhnā chāhatā hai?
13vah apnī zabān ko sharīr bāteṅ karne se roke aur apne hoṅṭoṅ ko jhūṭ bolne se.
14vah burāī se muṅh pher kar nek kām kare, sulah-salāmatī kā tālib ho kar us ke pīchhe lagā rahe.
15rabb kī āṅkheṅ rāstbāzoṅ par lagī rahatī haiṅ, aur us ke kān un kī iltijāoṅ kī taraf māil haiṅ.
16lekin rabb kā chiharā un ke ḵẖilāf hai jo ġalat kām karte haiṅ. un kā zamīn par nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
17jab rāstbāz faryād kareṅ to rabb un kī suntā, vah unheṅ un kī tamām musībat se chhuṭkārā detā hai.
18rabb shikastādiloṅ ke qarīb hotā hai, vah unheṅ rihāī detā hai jin kī rūh ko ḵẖāk meṅ kuchlā gayā ho.
19rāstbāz kī mut’addid takālīf hotī haiṅ, lekin rabb use un sab se bachā letā hai.
20vah us kī tamām haḍḍiyoṅ kī hifāzat kartā hai, ek bhī nahīṅ toṛī jāegī.
21burāī bedīn ko mār ḍālegī, aur jo rāstbāz se nafrat kare use munāsib ajr milegā.
22lekin rabb apne ḵẖādimoṅ kī jān kā fidyā degā. jo bhī us meṅ panāh le use sazā nahīṅ milegī.