Zabūr 36

allāh kī meharbānī kī tārīf

1rabb ke ḵẖādim dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.

badkārī bedīn ke dil hī meṅ us se bāt kartī hai. us kī āṅkhoṅ ke sāmne allāh kā ḵẖauf nahīṅ hotā,

2kyūṅki us kī nazar meṅ yah bāt faḵẖar kā bāis hai ki use qusūrvār pāyā gayā, ki vah nafrat kartā hai.

3us ke muṅh se sharārat aur fareb nikaltā hai, vah samajhdār hone aur nek kām karne se bāz āyā hai.

4apne bistar par bhī vah sharārat ke mansūbe bāṅdhtā hai. vah mazbūtī se burī rāh par khaṛā rahatā aur burāī ko mustarad nahīṅ kartā.

5ai rabb, terī shafqat āsmān tak, terī vafādārī bādloṅ tak pahuṅchtī hai.

6terī rāstī bulandtarīn pahāṛoṅ kī mānind, terā insāf samundar kī gaharāiyoṅ jaisā hai. ai rabb, tū insān-o-haivān kī madad kartā hai.

7ai allāh, terī shafqat kitnī beshaqīmat hai! ādamzād tere paroṅ ke sāy meṅ panāh lete haiṅ.

8vah tere ghar ke umdā khāne se tar-o-tāzā ho jāte haiṅ, aur tū unheṅ apnī ḵẖushiyoṅ kī nadī meṅ se pilātā hai.

9kyūṅki zindagī kā sarchashmā tere hī pās hai, aur ham tere nūr meṅ rah kar nūr kā mushāhadā karte haiṅ.

10apnī shafqat un par phailāe rakh jo tujhe jānte haiṅ, apnī rāstī un par jo dil se diyānatdār haiṅ.

11maġrūroṅ kā pāoṅ mujh tak na pahuṅche, bedīnoṅ kā hāth mujhe beghar na banāe.

12dekho, badkār gir gae haiṅ! unheṅ zamīn par paṭaḵẖ diyā gayā hai, aur vah dubārā kabhī nahīṅ uṭheṅge.