Zabūr 38
sazā se bachne kī iltijā (taubā kā tīsrā zabūr)
1dāūd kā zabūr. yādadāsht ke liye.
ai rabb, apne ġazab meṅ mujhe sazā na de, qahar meṅ mujhe tambīh na kar!
2kyūṅki tere tīr mere jism meṅ lag gae haiṅ, terā hāth mujh par bhārī hai.
3terī lānat ke bāis merā pūrā jism bīmār hai, mere gunāh ke bāis merī tamām haḍḍiyāṅ galne lagī haiṅ.
4kyūṅki maiṅ apne gunāhoṅ ke sailāb meṅ ḍūb gayā hūṅ, vah nāqābil-e-bardāsht bojh ban gae haiṅ.
5merī hamāqat ke bāis mere zaḵẖmoṅ se badbū āne lagī, vah galne lage haiṅ.
6maiṅ kubṛā ban kar ḵẖāk meṅ dab gayā hūṅ, pūrā din mātmī libās pahane phirtā hūṅ.
7merī kamar meṅ shadīd sozish hai, pūrā jism bīmār hai.
8maiṅ niḍhāl aur pāsh pāsh ho gayā hūṅ. dil ke azāb ke bāis maiṅ chīḵẖtā chillātā hūṅ.
9ai rabb, merī tamām ārzū tere sāmne hai, merī āheṅ tujh se poshīdā nahīṅ rahatīṅ.
10merā dil zor se dhaṛaktā, merī tāqat javāb de gaī balki merī āṅkhoṅ kī raushnī bhī jātī rahī hai.
11mere dost aur sāthī merī musībat dekh kar mujh se gurez karte, mere qarīb ke rishtedār dūr khaṛe rahate haiṅ.
12mere jānī dushman phaṅde bichhā rahe haiṅ, jo mujhe nuqsān pahuṅchānā chāhate haiṅ vah dhamkiyāṅ de rahe aur sārā sārā din farebdih mansūbe bāṅdh rahe haiṅ.
13aur maiṅ? maiṅ to goyā baharā hūṅ, maiṅ nahīṅ suntā. maiṅ gūṅge kī mānind hūṅ jo apnā muṅh nahīṅ kholtā.
14maiṅ aisā shaḵẖs ban gayā hūṅ jo na suntā, na javāb meṅ etirāz kartā hai.
15kyūṅki ai rabb, maiṅ tere intizār meṅ hūṅ. ai rabb mere ḵẖudā, tū hī merī sunegā.
16maiṅ bolā, “aisā na ho ki vah merā nuqsān dekh kar baġleṅ bajāeṅ, vah mere pāoṅ ke ḍagmagāne par mujhe dabā kar apne āp par faḵẖar kareṅ.”
17kyūṅki maiṅ laṛkhaṛāne ko hūṅ, merī aziyat mutvātir mere sāmne rahatī hai.
18chunāṅche maiṅ apnā qusūr taslīm kartā hūṅ, maiṅ apne gunāh ke bāis ġamgīn hūṅ.
19mere dushman zindā aur tāqatvar haiṅ, aur jo bilāvajah mujh se nafrat karte haiṅ vah bahut haiṅ.
20vah nekī ke badle badī karte haiṅ. vah is liye mere dushman haiṅ ki maiṅ bhalāī ke pīchhe lagā rahatā hūṅ.
21ai rabb, mujhe tark na kar! ai allāh, mujh se dūr na rah!
22ai rabb merī najāt, merī madad karne meṅ jaldī kar