Zabūr 39
insān ke fānī hone ke pesh-e-nazar iltijā
1dāūd kā zabūr. yadūtūn ke liye. mūsīqī ke rāhanumā ke liye.
maiṅ bolā, “maiṅ apnī rāhoṅ par dhyān dūṅgā tāki apnī zabān se gunāh na karūṅ. jab tak bedīn mere sāmne rahe us vaqt tak apne muṅh ko lagām die rahūṅgā.”
2maiṅ chup-chāp ho gayā aur acchhī chīzoṅ se dūr rah kar ḵẖāmosh rahā. tab merī aziyat baṛh gaī.
3merā dil pareshānī se tapne lagā, mere karāhate karāhate mere andar bechainī kī āg sī bhaṛak uṭhī. tab bāt zabān par ā gaī,
4“ai rabb, mujhe merā anjām aur merī umr kī hadd dikhā tāki maiṅ jān lūṅ ki kitnā fānī hūṅ.
5dekh, merī zindagī kā daurāniyā tere sāmne lamhā bhar kā hai. merī pūrī umr tere nazdīk kuchh bhī nahīṅ hai. har insān dam bhar kā hī hai, ḵẖwāh vah kitnī hī mazbūtī se khaṛā kyūṅ na ho. (silāh)
6jab vah idhar udhar ghūme phire to sāyā hī hai. us kā shor-sharābā bātil hai, aur go vah daulat jamā karne meṅ masrūf rahe to bhī use mālūm nahīṅ ki bād meṅ kis ke qabze meṅ āegī.”
7chunāṅche ai rabb, maiṅ kis ke intizār meṅ rahūṅ? tū hī merī vāhid ummīd hai!
8mere tamām gunāhoṅ se mujhe chhuṭkārā de. ahamaq ko merī rusvāī karne na de.
9maiṅ ḵẖāmosh ho gayā hūṅ aur kabhī apnā muṅh nahīṅ kholtā, kyūṅki yah sab kuchh tere hī hāth se huā hai.
10apnā azāb mujh se dūr kar! tere hāth kī zarboṅ se maiṅ halāk ho rahā hūṅ.
11jab tū insān ko us ke qusūr kī munāsib sazā de kar us ko tambīh kartā hai to us kī ḵẖūbsūrtī kīṛā lage kapṛe kī tarah jātī rahatī hai. har insān dam bhar kā hī hai. (silāh)
12ai rabb, merī duā sun aur madad ke liye merī āhoṅ par tavajjuh de. mere āṅsūoṅ ko dekh kar ḵẖāmosh na rah. kyūṅki maiṅ tere huzūr rahane vālā pardesī, apne tamām bāpdādā kī tarah tere huzūr basne vālā ġairshaharī hūṅ.
13mujh se bāz ā tāki maiṅ kūch karke nest ho jāne se pahale ek bār phir hashshāsh-bashshāsh ho jāūṅ.