Zabūr 43
1ai allāh, merā insāf kar! mere liye ġairīmāndār qaum se laṛ, mujhe dhokebāz aur sharīr ādmiyoṅ se bachā.
2kyūṅki tū merī panāh kā ḵẖudā hai. tū ne mujhe kyūṅ radd kiyā hai? maiṅ apne dushman ke zulm ke bāis kyūṅ mātmī libās pahane phirūṅ?
3apnī raushnī aur sacchāī ko bhej tāki vah merī rāhanumāī karke mujhe tere muqaddas pahāṛ aur terī sukūnatgāh ke pās pahuṅchāeṅ.
4tab maiṅ allāh kī qurbāngāh ke pās āūṅgā, us ḵẖudā ke pās jo merī ḵẖushī aur farhat hai. ai allāh mere ḵẖudā, vahāṅ maiṅ sarod bajā kar terī sitāish karūṅgā.
5ai merī jān, tū ġam kyūṅ khā rahī hai, bechainī se kyūṅ taṛap rahī hai? allāh ke intizār meṅ rah, kyūṅki maiṅ dubārā us kī sitāish karūṅgā jo merā ḵẖudā hai aur mere dekhte dekhte mujhe najāt detā hai.