Zabūr 5
hifāzat ke liye duā
1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye. ise bāṅsrī ke sāth gānā hai.
ai rabb, merī bāteṅ sun, merī āhoṅ par dhyān de!
2ai mere bādshāh, mere ḵẖudā, madad ke liye merī chīḵẖeṅ sun, kyūṅki maiṅ tujh hī se duā kartā hūṅ.
3ai rabb, subah ko tū merī āvāz suntā hai, subah ko maiṅ tujhe sab kuchh tartīb se pesh karke javāb kā intizār karne lagtā hūṅ.
4kyūṅki tū aisā ḵẖudā nahīṅ hai jo bedīnī se ḵẖush ho. jo burā hai vah tere huzūr nahīṅ ṭhahar saktā.
5maġrūr tere huzūr khaṛe nahīṅ ho sakte, badkār se tū nafrat kartā hai.
6jhūṭ bolne vāloṅ ko tū tabāh kartā, ḵẖūṅḵẖār aur dhokebāz se rabb ghin khātā hai.
7lekin mujh par tū ne baṛī meharbānī kī hai, is liye maiṅ tere ghar meṅ dāḵẖil ho saktā, maiṅ terā ḵẖauf mān kar terī muqaddas sukūnatgāh ke sāmne sijdā kartā hūṅ.
8ai rabb, apnī rāst rāh par merī rāhanumāī kar tāki mere dushman mujh par ġālib na āeṅ. apnī rāh ko mere āge hamvār kar.
9kyūṅki un ke muṅh se ek bhī qābil-e-etimād bāt nahīṅ nikaltī. un kā dil tabāhī se bharā rahatā, un kā galā khulī qabr hai, aur un kī zabān chiknī-chupṛī bāteṅ ugaltī rahatī hai.
10ai rabb, unheṅ un ke ġalat kām kā ajr de. un kī sāzisheṅ un kī apnī tabāhī kā bāis baneṅ. unheṅ un ke mut’addid gunāhoṅ ke bāis nikāl kar muntashir kar de, kyūṅki vah tujh se sarkash ho gae haiṅ.
11lekin jo tujh meṅ panāh lete haiṅ vah sab ḵẖush hoṅ, vah abad tak shādiyānā bajāeṅ, kyūṅki tū unheṅ mahfūz rakhtā hai. tere nām ko piyār karne vāle terā jashn manāeṅ.
12kyūṅki tū ai rabb, rāstbāz ko barkat detā hai, tū apnī meharbānī kī ḍhāl se us kī chāroṅ taraf hifāzat kartā hai.