Zabūr 6

musībat meṅ duā (taubā kā pahalā zabūr)

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye. tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai.

ai rabb, ġusse meṅ mujhe sazā na de, taish meṅ mujhe tambīh na kar.

2ai rabb, mujh par raham kar, kyūṅki maiṅ niḍhāl hūṅ. ai rabb, mujhe shifā de, kyūṅki mere āzā dahshatzadā haiṅ.

3merī jān nihāyat ḵẖaufzadā hai. ai rabb, tū kab tak der karegā?

4ai rabb, vāpas ā kar merī jān ko bachā. apnī shafqat kī ḵẖātir mujhe chhuṭkārā de.

5kyūṅki murdā tujhe yād nahīṅ kartā. pātāl meṅ kaun terī sitāish karegā?

6maiṅ karāhate karāhate thak gayā hūṅ. pūrī rāt rone se bistar bhīg gayā hai, mere āṅsūoṅ se palaṅg gal gayā hai.

7ġam ke māre merī āṅkheṅ sūj gaī haiṅ, mere muḵẖālifoṅ ke hamloṅ se vah zāe hotī jā rahī haiṅ.

8ai badkāro, mujh se dūr ho jāo, kyūṅki rabb ne merī āh-o-bukā sunī hai.

9rabb ne merī iltijāoṅ ko sun liyā hai, merī duā rabb ko qabūl hai.

10mere tamām dushmanoṅ kī rusvāī ho jāegī, aur vah saḵẖt ghabrā jāeṅge. vah muṛ kar achānak hī sharmindā ho jāeṅge.