Zabūr 7
insāf ke liye duā
1dāūd kā vah mātmī gīt jo us ne kūsh binymīnī kī bātoṅ par rabb kī tamjīd meṅ gāyā.
ai rabb mere ḵẖudā, maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. mujhe un sab se bachā kar chhuṭkārā de jo merā tāqqub kar rahe haiṅ,
2varnā vah sherbabar kī tarah mujhe phāṛ kar ṭukṛe ṭukṛe kar deṅge, aur bachāne vālā koī nahīṅ hogā.
3ai rabb mere ḵẖudā, agar mujh se yah kuchh sarzad huā aur mere hāth qusūrvār hoṅ,
4agar maiṅ ne us se burā sulūk kiyā jis kā mere sāth jhagṛā nahīṅ thā yā apne dushman ko ḵẖwāh-m-ḵẖwāh lūṭ liyā ho
5to phir merā dushman mere pīchhe paṛ kar mujhe pakaṛ le. vah merī jān ko miṭṭī meṅ kuchal de, merī izzat ko ḵẖāk meṅ milāe. (silāh)
6ai rabb, uṭh aur apnā ġazab dikhā! mere dushmanoṅ ke taish ke ḵẖilāf khaṛā ho jā. merī madad karne ke liye jāg uṭh! tū ne ḵẖud adālat kā hukm diyā hai.
7aqvām tere ird-gird jamā ho jāeṅ jab tū un ke ūpar bulandiyoṅ par taḵẖtnashīn ho jāe.
8rabb aqvām kī adālat kartā hai. ai rabb, merī rāstbāzī aur begunāhī kā lihāz karke merā insāf kar.
9ai rāst ḵẖudā, jo dil kī gaharāiyoṅ ko tah tak jāṅch letā hai, bedīnoṅ kī sharārateṅ ḵẖatm kar aur rāstbāz ko qāim rakh.
10allāh merī ḍhāl hai. jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ unheṅ vah rihāī detā hai.
11allāh ādil munsif hai, aisā ḵẖudā jo rozānā logoṅ kī sarzanish kartā hai.
12yaqīnan is vaqt bhī dushman apnī talvār ko tez kar rahā, apnī kamān ko tān kar nishānā bāṅdh rahā hai.
13lekin jo muhalak hathiyār aur jalte hue tīr us ne tayyār kar rakhe haiṅ un kī zad meṅ vah ḵẖud hī ā jāegā.
14dekh, burāī kā bīj us meṅ ug āyā hai. ab vah sharārat se hāmilā ho kar phirtā aur jhūṭ ke bacche janm detā hai.
15lekin jo gaṛhā us ne dūsroṅ ko phaṅsāne ke liye khod khod kar tayyār kiyā us meṅ ḵẖud gir paṛā hai.
16vah ḵẖud apnī sharārat kī zad meṅ āegā, us kā zulm us ke apne sar par nāzil hogā.
17maiṅ rabb kī sitāish karūṅgā, kyūṅki vah rāst hai. maiṅ rabb t’ālā ke nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.