Zabūr 9

allāh kī qudrat aur insāf

1dāūd kā zabūr. mūsīqī ke rāhanumā ke liye. tarz : alāmūt-labbīn.

ai rabb, maiṅ pūre dil se terī sitāish karūṅgā, tere tamām mojizāt kā bayān karūṅgā.

2maiṅ shādmān ho kar terī ḵẖushī manāūṅgā. ai allāh t’ālā, maiṅ tere nām kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā.

3jab mere dushman pīchhe haṭ jāeṅge to vah ṭhokar khā kar tere huzūr tabāh ho jāeṅge.

4kyūṅki tū ne merā insāf kiyā hai, tū taḵẖt par baiṭh kar rāst munsif sābit huā hai.

5tū ne aqvām ko malāmat karke bedīnoṅ ko halāk kar diyā, un kā nām-o-nishān hameshā ke liye miṭā diyā hai.

6dushman tabāh ho gayā, abad tak malbe kā ḍher ban gayā hai. tū ne shaharoṅ ko jaṛ se ukhāṛ diyā hai, aur un kī yād tak bāqī nahīṅ rahegī.

7lekin rabb hameshā tak taḵẖtnashīn rahegā, aur us ne apne taḵẖt ko adālat karne ke liye khaṛā kiyā hai.

8vah rāstī se duniyā kī adālat karegā, insāf se ummatoṅ kā faislā karegā.

9rabb mazlūmoṅ kī panāhgāh hai, ek qil’ā jis meṅ vah musībat ke vaqt mahfūz rahate haiṅ.

10ai rabb, jo terā nām jānte vah tujh par bharosā rakhte haiṅ. kyūṅki jo tere tālib haiṅ unheṅ tū ne kabhī tark nahīṅ kiyā.

11rabb kī tamjīd meṅ gīt gāo jo siyyūn pahāṛ par taḵẖtnashīn hai, ummatoṅ meṅ vah kuchh sunāo jo us ne kiyā hai.

12kyūṅki jo maqtūloṅ kā intiqām letā hai vah musībatazadoṅ kī chīḵẖeṅ nazar’andāz nahīṅ kartā.

13ai rabb, mujh par raham kar! merī us taklīf par ġaur kar jo nafrat karne vāle mujhe pahuṅchā rahe haiṅ. mujhe maut ke darvāzoṅ meṅ se nikāl kar uṭhā le

14tāki maiṅ siyyūn beṭī ke darvāzoṅ meṅ terī sitāish karke vah kuchh sunāūṅ jo tū ne mere liye kiyā hai, tāki maiṅ terī najāt kī ḵẖushī manāūṅ.

15aqvām us gaṛhe meṅ ḵẖud gir gaī haiṅ jo unhoṅ ne dūsroṅ ko pakaṛne ke liye khodā thā. un ke apne pāoṅ us jāl meṅ phaṅs gae haiṅ jo unhoṅ ne dūsroṅ ko phaṅsāne ke liye bichhā diyā thā.

16rabb ne insāf karke apnā izhār kiyā to bedīn apne hāth ke phaṅde meṅ ulajh gayā. (higgāyūn kā tarz. silāh)

17bedīn pātāl meṅ utareṅge, jo ummateṅ allāh ko bhūl gaī haiṅ vah sab vahāṅ jāeṅgī.

18kyūṅki vah zarūratmandoṅ ko hameshā tak nahīṅ bhūlegā, musībatazadoṅ kī ummīd abad tak jātī nahīṅ rahegī.

19ai rabb, uṭh khaṛā ho tāki insān ġālib na āe. baḵẖsh de ki tere huzūr aqvām kī adālat kī jāe.

20ai rabb, unheṅ dahshatzadā kar tāki aqvām jān leṅ ki insān hī haiṅ. (silāh