Zabūr 92

allāh kī sitāish karne kī ḵẖushī

1zabūr. sabat ke liye gīt.

rabb kā shukr karnā bhalā hai. ai allāh t’ālā, tere nām kī madahsarāī karnā bhalā hai.

2subah ko terī shafqat aur rāt ko terī vafā kā elān karnā bhalā hai,

3ḵẖāskar jab sāth sāth das tāroṅ vālā sāz, sitār aur sarod bajte haiṅ.

4kyūṅki ai rabb, tū ne mujhe apne kāmoṅ se ḵẖush kiyā hai, aur tere hāthoṅ ke kām dekh kar maiṅ ḵẖushī ke nāre lagātā hūṅ.

5ai rabb, tere kām kitne azīm, tere ḵẖayālāt kitne gahare haiṅ.

6nādān yah nahīṅ jāntā, ahamaq ko is kī samajh nahīṅ ātī.

7go bedīn ghās kī tarah phūṭ nikalte aur badkār sab phalte phūlte haiṅ, lekin āḵẖirkār vah hameshā ke liye halāk ho jāeṅge.

8magar tū, ai rabb, abad tak sarbuland rahegā.

9kyūṅki tere dushman, ai rabb, tere dushman yaqīnan tabāh ho jāeṅge, badkār sab tittar-bittar ho jāeṅge.

10tū ne mujhe jaṅglī bail kī sī tāqat de kar tāzā tel se masah kiyā hai.

11merī āṅkh apne dushmanoṅ kī shikast se aur mere kān un sharīroṅ ke anjām se lutf’andoz hue haiṅ jo mere ḵẖilāf uṭh khaṛe hue haiṅ.

12rāstbāz khajūr ke daraḵẖt kī tarah phale phūlegā, vah lubnān ke deodār ke daraḵẖt kī tarah baṛhegā.

13jo paude rabb kī sukūnatgāh meṅ lagāe gae haiṅ vah hamāre ḵẖudā kī bārgāhoṅ meṅ phaleṅ phūleṅge.

14vah buṛhāpe meṅ bhī phal lāeṅge aur tar-o-tāzā aur hare-bhare raheṅge.

15us vaqt bhī vah elān kareṅge, “rabb rāst hai. vah merī chaṭān hai, aur us meṅ nārāstī nahīṅ hotī.”