Zakariyāh 13
butparastī aur jhūṭī nubuvvat kā ḵẖātmā
1us din dāūd ke gharāne aur yarūshalam ke bāshindoṅ ke liye chashmā kholā jāegā jis ke zarīe vah apne gunāhoṅ aur nāpākī ko dūr kar sakeṅge.”
2rabb-ul-afwāj farmātā hai, “us din maiṅ tamām butoṅ ko mulk meṅ se miṭā dūṅgā. un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā, aur vah kisī ko yād nahīṅ raheṅge.
nabiyoṅ aur nāpākī kī rūh ko bhī maiṅ mulk se dūr karūṅgā. 3is ke bād agar koī nubuvvat kare to us ke apne māṅ-bāp us se kaheṅge, ‘tū zindā nahīṅ rah saktā, kyūṅki tū ne rabb kā nām le kar jhūṭ bolā hai.’ jab vah peshgoiyāṅ sunāegā to us ke apne vālidain use chhed ḍāleṅge. 4us vaqt har nabī ko apnī royā par sharm āegī jab nubuvvat karegā. vah nabī kā bāloṅ se banā libās nahīṅ pahanegā tāki fareb de 5balki kahegā, ‘maiṅ nabī nahīṅ balki kāshtakār hūṅ. javānī se hī merā peshā khetībāṛī rahā hai.’ 6agar koī pūchhe, ‘to phir tere sīne par zaḵẖmoṅ ke nishān kis tarah lage? to javāb degā, maiṅ apne dostoṅ ke ghar meṅ zaḵẖmī huā’.”
logoṅ kī jāṅch-paṛtāl
7rabb-ul-afwāj farmātā hai, “ai talvār, jāg uṭh! mere gallābān par hamlā kar, us par jo mere qarīb hai. gallābān ko mār ḍāl tāki bheṛ-bakriyāṅ tittar-bittar ho jāeṅ. maiṅ ḵẖud apne hāth ko chhoṭoṅ ke ḵẖilāf uṭhāūṅgā.” 8rabb farmātā hai, “pūre mulk meṅ logoṅ ke tīn hissoṅ meṅ se do hissoṅ ko miṭāyā jāegā. do hisse halāk ho jāeṅge aur sirf ek hī hissā bachā rahegā. 9is bache hue hisse ko maiṅ āg meṅ ḍāl kar chāṅdī yā sone kī tarah pāk-sāf karūṅgā. tab vah merā nām pukāreṅge, aur maiṅ un kī sunūṅgā. maiṅ kahūṅgā, ‘yah merī qaum hai,’ aur vah kaheṅge, ‘rabb hamārā ḵẖudā hai’.”