Safaniyāh 1
1zail meṅ rabb kā vah kalām qalamband hai jo safaniyāh bin kūshī bin jidaliyāh bin amariyāh bin hizaqiyāh par nāzil huā. us vaqt yūsiyāh bin amūn yahūdāh kā bādshāh thā.
2rabb farmātā hai, “maiṅ rū-e-zamīn par se sab kuchh miṭā ḍālūṅgā, 3insān-o-haivān, parindoṅ, machhliyoṅ, ṭhokar khilāne vālī chīzoṅ aur bedīnoṅ ko. tab zamīn par insān kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.” yah rabb kā farmān hai.
4“yahūdāh aur yarūshalam ke tamām bāshindoṅ par merī sazā nāzil hogī. bāl devtā kī jitnī bhī butparastī ab tak rah gaī hai use nest-o-nābūd kar dūṅgā. na butparast pujāriyoṅ kā nām-o-nishān rahegā, 5na un kā jo chhatoṅ par sūraj, chāṅd balki āsmān ke pūre lashkar ko sijdā karte haiṅ, jo rabb kī qasam khāne ke sāth sāth milkūm devtā kī bhī qasam khāte haiṅ. 6jo rabb kī pairvī chhoṛ kar na use talāsh karte, na us kī marzī darayāft karte haiṅ vah sab ke sab tabāh ho jāeṅge.
7ab rabb qādir-e-mutlaq ke sāmne ḵẖāmosh ho jāo, kyūṅki rabb kā din qarīb hī hai. rabb ne is ke liye zabah kī qurbānī tayyār karke apne mehamānoṅ ko maḵẖsūs-o-muqaddas kar diyā hai.” 8rabb farmātā hai, “jis din maiṅ yah qurbānī chaṛhāūṅgā us din buzurgoṅ, shahazādoṅ aur ajnabī libās pahanne vāloṅ ko sazā dūṅgā. 9us din maiṅ un par sazā nāzil karūṅgā jo tavahhumaparastī ke bāis dahalīz par qadam rakhne se gurez karte haiṅ, jo apne mālik ke ghar ko zulm aur fareb se bhar dete haiṅ.”
10rabb farmātā hai, “us din machhlī ke darvāze se zor kī chīḵẖeṅ, nae shahar se āh-o-zārī aur pahāṛiyoṅ se kaṛaktī āvāzeṅ sunāī deṅgī. 11ai maktīs muhalle ke bāshindo, vāvailā karo, kyūṅki tumhāre tamām tājir halāk ho jāeṅge. vahāṅ ke jitne bhī saudāgar chāṅdī tolte haiṅ vah nest-o-nābūd ho jāeṅge.
12tab maiṅ charāġ le kar yarūshalam ke kone kone meṅ un kā khoj lagāūṅgā jo is vaqt baṛe ārām se baiṭhe haiṅ, ḵẖwāh hālāt kitne bure kyūṅ na hoṅ. maiṅ un se nipaṭ lūṅgā jo sochte haiṅ, ‘rabb kuchh nahīṅ karegā, na acchhā kām aur na burā.’ 13aise logoṅ kā māl lūṭ liyā jāegā, un ke ghar mismār ho jāeṅge. vah nae makān tāmīr to kareṅge lekin un meṅ raheṅge nahīṅ, aṅgūr ke bāġ lagāeṅge lekin un kī mai pieṅge nahīṅ.”
14rabb kā azīm din qarīb hī hai, vah baṛī tezī se ham par nāzil ho rahā hai. suno! vah din talḵẖ hogā. hālāt aise hoṅge ki bahādur faujī bhī chīḵẖ kar madad ke liye pukāreṅge. 15rabb kā pūrā ġazab nāzil hogā, aur log pareshānī aur musībat meṅ mubtalā raheṅge. har taraf tabāhī-o-barbādī, har taraf aṅdherā hī aṅdherā, har taraf ghane bādal chhāe raheṅge. 16us din dushman narsiṅgā phūṅk kar aur jaṅg ke nāre lagā kar qil’āband shaharoṅ aur burjoṅ par ṭūṭ paṛegā. 17rabb farmātā hai, “chūṅki logoṅ ne merā gunāh kiyā hai is liye maiṅ un ko baṛī musībat meṅ uljhā dūṅgā. vah aṅdhoṅ kī tarah ṭaṭol ṭaṭol kar idhar udhar phireṅge, un kā ḵẖūn ḵẖāk kī tarah girāyā jāegā aur un kī nāsheṅ gobar kī tarah zamīn par phaiṅkī jāeṅgī.” 18jab rabb kā ġazab nāzil hogā to na un kā sonā, na chāṅdī unheṅ bachā sakegī. us kī ġairat pūre mulk ko āg kī tarah bhasm kar degī. vah mulk ke tamām bāshindoṅ ko halāk karegā, hāṅ un kā anjām haulnāk hogā.