Yūhannā 6

īsā baṛe hujūm ko khānā khilātā hai

1is ke bād īsā ne galīl kī jhīl ko pār kiyā. (jhīl kā dūsrā nām tibriyās thā.) 2ek baṛā hujūm us ke pīchhe lag gayā thā, kyūṅki us ne ilāhī nishān dikhā kar marīzoṅ ko shifā dī thī aur logoṅ ne is kā mushāhadā kiyā thā. 3phir īsā pahāṛ par chaṛh kar apne shāgirdoṅ ke sāth baiṭh gayā. 4(yahūdī īd-e-fasah qarīb ā gaī thī.) 5vahāṅ baiṭhe īsā ne apnī nazar uṭhāī to dekhā ki ek baṛā hujūm pahuṅch rahā hai. us ne filippus se pūchhā, “ham kahāṅ se khānā ḵẖarīdeṅ tāki unheṅ khilāeṅ?” 6(yah us ne filippus ko āzmāne ke liye kahā. ḵẖud to vah jāntā thā ki kyā karegā.)

7filippus ne javāb diyā, “agar har ek ko sirf thoṛā sā mile to bhī chāṅdī ke 200 sikke kāfī nahīṅ hoṅge.”

8phir shamāūn patras kā bhāī andriyās bol uṭhā, 9“yahāṅ ek laṛkā hai jis ke pās jau kī pāṅch roṭiyāṅ aur do machhliyāṅ haiṅ. magar itne logoṅ meṅ yah kyā haiṅ!”

10īsā ne kahā, “logoṅ ko biṭhā do.” us jagah bahut ghās thī. chunāṅche sab baiṭh gae. (sirf mardoṅ kī tādād 5,000 thī.) 11īsā ne roṭiyāṅ le kar shukrguzārī kī duā kī aur unheṅ baiṭhe hue logoṅ meṅ taqsīm karvāyā. yahī kuchh us ne machhliyoṅ ke sāth bhī kiyā. aur sab ne jī bhar kar roṭī khāī. 12jab sab ser ho gae to īsā ne shāgirdoṅ ko batāyā, “ab bache hue ṭukṛe jamā karo tāki kuchh zāe na ho jāe.” 13jab unhoṅ ne bachā huā khānā ikaṭṭhā kiyā to jau kī pāṅch roṭiyoṅ ke ṭukṛoṅ se bārah ṭokre bhar gae.

14jab logoṅ ne īsā ko yah ilāhī nishān dikhāte dekhā to unhoṅ ne kahā, “yaqīnan yah vahī nabī hai jise duniyā meṅ ānā thā.” 15īsā ko mālūm huā ki vah ā kar use zabardastī bādshāh banānā chāhate haiṅ, is liye vah dubārā un se alag ho kar akelā hī kisī pahāṛ par chaṛh gayā.

īsā pānī par chaltā hai

16shām ko shāgird jhīl ke pās gae 17aur kashtī par savār ho kar jhīl ke pār shahar kafarnahūm ke liye ravānā hue. aṅdherā ho chukā thā aur īsā ab tak un ke pās vāpas nahīṅ āyā thā. 18tez havā ke bāis jhīl meṅ lahareṅ uṭhne lagīṅ. 19kashtī ko khete khete shāgird chār yā pāṅch kilomīṭar kā safar tai kar chuke the ki achānak īsā nazar āyā. vah pānī par chaltā huā kashtī kī taraf baṛh rahā thā. shāgird dahshatzadā ho gae. 20lekin us ne un se kahā, “maiṅ hī hūṅ. ḵẖauf na karo.” 21vah use kashtī meṅ biṭhāne par āmādā hue. aur kashtī usī lamhe us jagah pahuṅch gaī jahāṅ vah jānā chāhate the.

log īsā ko ḍhūṅḍte haiṅ

22hujūm to jhīl ke pār rah gayā thā. agle din logoṅ ko patā chalā ki shāgird ek hī kashtī le kar chale gae haiṅ aur ki us vaqt īsā kashtī meṅ nahīṅ thā. 23phir kuchh kashtiyāṅ tibriyās se us maqām ke qarīb pahuṅchīṅ jahāṅ ḵẖudāvand īsā ne roṭī ke liye shukrguzārī kī duā karke use logoṅ ko khilāyā thā. 24jab logoṅ ne dekhā ki na īsā aur na us ke shāgird vahāṅ haiṅ to vah kashtiyoṅ par savār ho kar īsā ko ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte kafarnahūm pahuṅche.

īsā zindagī kī roṭī hai

25jab unhoṅ ne use jhīl ke pār pāyā to pūchhā, “ustād, āp kis tarah yahāṅ pahuṅch gae?”

26īsā ne javāb diyā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, tum mujhe is liye nahīṅ ḍhūṅḍ rahe ki ilāhī nishān dekhe haiṅ balki is liye ki tum ne jī bhar kar roṭī khāī hai. 27aisī ḵẖurāk ke liye jidd-o-jahd na karo jo gal saṛ jātī hai, balki aisī ke liye jo abdī zindagī tak qāim rahatī hai aur jo ibn-e-ādam tum ko degā, kyūṅki ḵẖudā bāp ne us par apnī tasdīq kī muhar lagāī hai.”

28is par unhoṅ ne pūchhā, “hameṅ kyā karnā chāhie tāki allāh kā matlūbā kām kareṅ?”

29īsā ne javāb diyā, “allāh kā kām yah hai ki tum us par īmān lāo jise us ne bhejā hai.”

30unhoṅ ne kahā, “to phir āp kyā ilāhī nishān dikhāeṅge jise dekh kar ham āp par īmān lāeṅ? āp kyā kām sar’anjām deṅge? 31hamāre bāpdādā ne to registān meṅ mann khāyā. chunāṅche kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki mūsā ne unheṅ āsmān se roṭī khilāī.”

32īsā ne javāb diyā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki ḵẖud mūsā ne tum ko āsmān se roṭī nahīṅ khilāī balki mere bāp ne. vahī tum ko āsmān se haqīqī roṭī detā hai. 33kyūṅki allāh kī roṭī vah shaḵẖs hai jo āsmān par se utar kar duniyā ko zindagī baḵẖshtā hai.”

34unhoṅ ne kahā, “ḵẖudāvand, hameṅ yah roṭī har vaqt diyā kareṅ.”

35javāb meṅ īsā ne kahā, “maiṅ hī zindagī kī roṭī hūṅ. jo mere pās āe use phir kabhī bhūk nahīṅ lagegī. aur jo mujh par īmān lāe use phir kabhī piyās nahīṅ lagegī. 36lekin jis tarah maiṅ tum ko batā chukā hūṅ, tum ne mujhe dekhā aur phir bhī īmān nahīṅ lāe. 37jitne bhī bāp ne mujhe die haiṅ vah mere pās āeṅge aur jo bhī mere pās āegā use maiṅ hargiz nikāl na dūṅgā. 38kyūṅki maiṅ apnī marzī pūrī karne ke liye āsmān se nahīṅ utrā balki us kī jis ne mujhe bhejā hai. 39aur jis ne mujhe bhejā us kī marzī yah hai ki jitne bhī us ne mujhe die haiṅ un meṅ se maiṅ ek ko bhī kho na dūṅ balki sab ko qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅ. 40kyūṅki mere bāp kī marzī yahī hai ki jo bhī farzand ko dekh kar us par īmān lāe use abdī zindagī hāsil ho. aise shaḵẖs ko maiṅ qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅgā.”

41yah sun kar yahūdī is liye buṛbuṛāne lage ki us ne kahā thā, “maiṅ hī vah roṭī hūṅ jo āsmān par se utar āī hai.” 42unhoṅ ne etirāz kiyā, “kyā yah īsā bin yūsuf nahīṅ, jis ke bāp aur māṅ se ham vāqif haiṅ? vah kyūṅkar kah saktā hai ki ‘maiṅ āsmān se utrā hūṅ’?”

43īsā ne javāb meṅ kahā, “āpas meṅ mat buṛabuṛāo. 44sirf vah shaḵẖs mere pās ā saktā hai jise bāp jis ne mujhe bhejā hai mere pās khaiṅch lāyā hai. aise shaḵẖs ko maiṅ qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅgā. 45nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ likhā hai, ‘sab allāh se tālīm pāeṅge.’ jo bhī allāh kī sun kar us se sīkhtā hai vah mere pās ā jātā hai. 46is kā matlab yah nahīṅ ki kisī ne kabhī bāp ko dekhā. sirf ek hī ne bāp ko dekhā hai, vahī jo allāh kī taraf se hai. 47maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki jo īmān rakhtā hai use abdī zindagī hāsil hai. 48zindagī kī roṭī maiṅ hūṅ. 49tumhāre bāpdādā registān meṅ mann khāte rahe, to bhī vah mar gae. 50lekin yahāṅ āsmān se utarne vālī aisī roṭī hai jise khā kar insān nahīṅ martā. 51maiṅ hī zindagī kī vah roṭī hūṅ jo āsmān se utar āī hai. jo is roṭī se khāe vah abad tak zindā rahegā. aur yah roṭī merā gosht hai jo maiṅ duniyā ko zindagī muhayyā karne kī ḵẖātir pesh karūṅgā.” 52yahūdī baṛī sargarmī se ek dūsre se bahs karne lage, “yah ādmī hameṅ kis tarah apnā gosht khilā saktā hai?”

53īsā ne un se kahā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki sirf ibn-e-ādam kā gosht khāne aur us kā ḵẖūn pīne hī se tum meṅ zindagī hogī. 54jo merā gosht khāe aur merā ḵẖūn pie abdī zindagī us kī hai aur maiṅ use qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅgā. 55kyūṅki merā gosht haqīqī ḵẖurāk aur merā ḵẖūn haqīqī pīne kī chīz hai. 56jo merā gosht khātā aur merā ḵẖūn pītā hai vah mujh meṅ qāim rahatā hai aur maiṅ us meṅ. 57maiṅ us zindā bāp kī vajah se zindā hūṅ jis ne mujhe bhejā. isī tarah jo mujhe khātā hai vah merī hī vajah se zindā rahegā. 58yahī vah roṭī hai jo āsmān se utrī hai. tumhāre bāpdādā mann khāne ke bāvujūd mar gae, lekin jo yah roṭī khāegā vah abad tak zindā rahegā.”

59īsā ne yah bāteṅ us vaqt kīṅ jab vah kafarnahūm meṅ yahūdī ibādatḵẖāne meṅ tālīm de rahā thā.

abdī zindagī kī bāteṅ

60yah sun kar us ke bahut se shāgirdoṅ ne kahā, “yah bāteṅ nāgvār haiṅ. kaun inheṅ sun saktā hai!”

61īsā ko mālūm thā ki mere shāgird mere bāre meṅ buṛbuṛā rahe haiṅ, is liye us ne kahā, “kyā tum ko in bātoṅ se ṭhes lagī hai? 62to phir tum kyā sochoge jab ibn-e-ādam ko ūpar jāte dekhoge jahāṅ vah pahale thā? 63allāh kā rūh hī zindā kartā hai jabki jismānī tāqat kā koī fāidā nahīṅ hotā. jo bāteṅ maiṅ ne tum ko batāī haiṅ vah rūh aur zindagī haiṅ. 64lekin tum meṅ se kuchh haiṅ jo īmān nahīṅ rakhte.” (īsā to shurū se hī jāntā thā ki kaun kaun īmān nahīṅ rakhte aur kaun mujhe dushman ke havāle karegā.) 65phir us ne kahā, “is liye maiṅ ne tum ko batāyā ki sirf vah shaḵẖs mere pās ā saktā hai jise bāp kī taraf se yah taufīq mile.”

66us vaqt se us ke bahut se shāgird ulṭe pāoṅ phir gae aur āindā ko us ke sāth na chale. 67tab īsā ne bārah shāgirdoṅ se pūchhā, “kyā tum bhī chale jānā chāhate ho?”

68shamāūn patras ne javāb diyā, “ḵẖudāvand, ham kis ke pās jāeṅ? abdī zindagī kī bāteṅ to āp hī ke pās haiṅ. 69aur ham ne īmān lā kar jān liyā hai ki āp allāh ke quddūs haiṅ.”

70javāb meṅ īsā ne kahā, “kyā maiṅ ne tum bārah ko nahīṅ chunā? to bhī tum meṅ se ek shaḵẖs shaitān hai.” 71(vah shamāūn iskariyotī ke beṭe yahūdāh kī taraf ishārā kar rahā thā jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā aur jis ne bād meṅ use dushman ke havāle kar diyā.