Lūqā 15

khoī huī bheṛ

1ab aisā thā ki tamām ṭaiks lene vāle aur gunāhgār īsā kī bāteṅ sunne ke liye us ke pās āte the. 2yah dekh kar farīsī aur sharīat ke ālim buṛbuṛāne lage, “yah ādmī gunāhgāroṅ ko ḵẖush’āmadīd kah kar un ke sāth khānā khātā hai.” 3is par īsā ne unheṅ yah tamsīl sunāī,

4“farz karo ki tum meṅ se kisī kī sau bheṛeṅ haiṅ. lekin ek gum ho jātī hai. ab mālik kyā karegā? kyā vah bāqī 99 bheṛeṅ khule maidān meṅ chhoṛ kar gumshudā bheṛ ko ḍhūṅḍne nahīṅ jāegā? zarūr jāegā, balki jab tak use vah bheṛ mil na jāe vah us kī talāsh meṅ rahegā. 5phir vah ḵẖush ho kar use apne kaṅdhoṅ par uṭhā legā. 6yūṅ chalte chalte vah apne ghar pahuṅch jāegā aur vahāṅ apne dostoṅ aur hamsāiyoṅ ko bulā kar un se kahegā, ‘mere sāth ḵẖushī manāo! kyūṅki mujhe apnī khoī huī bheṛ mil gaī hai.’ 7maiṅ tum ko batātā hūṅ ki āsmān par bilkul isī tarah ḵẖushī manāī jāegī jab ek hī gunāhgār taubā karegā. aur yah ḵẖushī us ḵẖushī kī nisbat ziyādā hogī jo un 99 afrād ke bāis manāī jāegī jinheṅ taubā karne kī zarūrat hī nahīṅ thī.

gumshudā sikkā

8yā farz karo ki kisī aurat ke pās das sikke hoṅ lekin ek sikkā gum ho jāe. ab aurat kyā karegī? kyā vah charāġ jalā kar aur ghar meṅ jhāṛū de de kar baṛī ehatiyāt se sikke ko talāsh nahīṅ karegī? zarūr karegī, balki vah us vaqt tak ḍhūṅḍtī rahegī jab tak use sikkā mil na jāe. 9jab use sikkā mil jāegā to vah apnī saheliyoṅ aur hamsāiyoṅ ko bulā kar un se kahegī, ‘mere sāth ḵẖushī manāo! kyūṅki mujhe apnā gumshudā sikkā mil gayā hai.’ 10maiṅ tum ko batātā hūṅ ki bilkul isī tarah allāh ke farishtoṅ ke sāmne ḵẖushī manāī jātī hai jab ek bhī gunāhgār taubā kartā hai.”

gumshudā beṭā

11īsā ne apnī bāt jārī rakhī. “kisī ādmī ke do beṭe the. 12in meṅ se chhoṭe ne bāp se kahā, ‘ai bāp, mīrās kā merā hissā de deṅ.’ is par bāp ne donoṅ meṅ apnī milkiyat taqsīm kar dī. 13thoṛe dinoṅ ke bād chhoṭā beṭā apnā sārā sāmān sameṭ kar apne sāth kisī dūrdarāz mulk meṅ le gayā. vahāṅ us ne ayyāshī meṅ apnā pūrā māl-o-matā uṛā diyā. 14sab kuchh zāe ho gayā to us mulk meṅ saḵẖt kāl paṛā. ab vah zarūratmand hone lagā. 15natīje meṅ vah us mulk ke kisī bāshinde ke hāṅ jā paṛā jis ne use sūaroṅ ko charāne ke liye apne khetoṅ meṅ bhej diyā. 16vahāṅ vah apnā peṭ un phaliyoṅ se bharne kī shadīd ḵẖwāhish rakhtā thā jo sūar khāte the, lekin use is kī bhī ijāzat na milī. 17phir vah hosh meṅ āyā. vah kahane lagā, mere bāp ke kitne mazdūroṅ ko kasrat se khānā miltā hai jabki maiṅ yahāṅ bhūkā mar rahā hūṅ. 18maiṅ uṭh kar apne bāp ke pās vāpas chalā jāūṅgā aur us se kahūṅgā, ‘ai bāp, maiṅ ne āsmān kā aur āp kā gunāh kiyā hai. 19ab maiṅ is lāiq nahīṅ rahā ki āp kā beṭā kahalāūṅ. meharbānī karke mujhe apne mazdūroṅ meṅ rakh leṅ.’ 20phir vah uṭh kar apne bāp ke pās vāpas chalā gayā.

lekin vah ghar se abhī dūr hī thā ki us ke bāp ne use dekh liyā. use taras āyā aur vah bhāg kar beṭe ke pās āyā aur gale lagā kar use bosā diyā. 21beṭe ne kahā, ‘ai bāp, maiṅ ne āsmān kā aur āp kā gunāh kiyā hai. ab maiṅ is lāiq nahīṅ rahā ki āp kā beṭā kahalāūṅ.’ 22lekin bāp ne apne naukroṅ ko bulāyā aur kahā, ‘jaldī karo, behtarīn sūṭ lā kar ise pahanāo. is ke hāth meṅ aṅgūṭhī aur pāoṅ meṅ jūte pahanā do. 23phir moṭā-tāzā bachhṛā lā kar use zabah karo tāki ham khāeṅ aur ḵẖushī manāeṅ, 24kyūṅki yah merā beṭā murdā thā ab zindā ho gayā hai, gum ho gayā thā ab mil gayā hai.’ is par vah ḵẖushī manāne lage.

25is daurān bāp kā baṛā beṭā khet meṅ thā. ab vah ghar lauṭā. jab vah ghar ke qarīb pahuṅchā to andar se mūsīqī aur nāchne kī āvāzeṅ sunāī dīṅ. 26us ne kisī naukar ko bulā kar pūchhā, ‘yah kyā ho rahā hai?’ 27naukar ne javāb diyā, ‘āp kā bhāī ā gayā hai aur āp ke bāp ne moṭā-tāzā bachhṛā zabah karvāyā hai, kyūṅki use apnā beṭā sahīh-salāmat vāpas mil gayā hai.’

28yah sun kar baṛā beṭā ġusse huā aur andar jāne se inkār kar diyā. phir bāp ghar se nikal kar use samjhāne lagā. 29lekin us ne javāb meṅ apne bāp se kahā, ‘dekheṅ, maiṅ ne itne sāl āp kī ḵẖidmat meṅ saḵẖt mehanat-mashaqqat kī hai aur ek dafā bhī āp kī marzī kī ḵẖilāfvarzī nahīṅ kī. to bhī āp ne mujhe is pūre arse meṅ ek chhoṭā bakrā bhī nahīṅ diyā ki use zabah karke apne dostoṅ ke sāth ziyāfat kartā. 30lekin jūṅ hī āp kā yah beṭā āyā jis ne āp kī daulat kasbiyoṅ meṅ uṛā dī, āp ne us ke liye moṭā-tāzā bachhṛā zabah karvāyā.’ 31bāp ne javāb diyā, ‘beṭā, āp to har vaqt mere pās rahe haiṅ, aur jo kuchh merā hai vah āp hī kā hai. 32lekin ab zarūrī thā ki ham jashn manāeṅ aur ḵẖush hoṅ. kyūṅki āp kā yah bhāī jo murdā thā ab zindā ho gayā hai, jo gum ho gayā thā ab mil gayā hai’.”

Lūqā 18

farīsī aur ṭaiks lene vāle kī tamsīl

9bāz log maujūd the jo apnī rāstbāzī par bharosā rakhte aur dūsroṅ ko haqīr jānte the. unheṅ īsā ne yah tamsīl sunāī, 10“do ādmī bait-ul-muqaddas meṅ duā karne āe. ek farīsī thā aur dūsrā ṭaiks lene vālā.

11farīsī khaṛā ho kar yah duā karne lagā, ‘ai ḵẖudā, maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki maiṅ bāqī logoṅ kī tarah nahīṅ hūṅ. na maiṅ ḍākū hūṅ, na beinsāf, na zinākār. maiṅ is ṭaiks lene vāle kī mānind bhī nahīṅ hūṅ. 12maiṅ hafte meṅ do martabā rozā rakhtā hūṅ aur tamām āmdanī kā dasvāṅ hissā tere liye maḵẖsūs kartā hūṅ.’

13lekin ṭaiks lene vālā dūr hī khaṛā rahā. us ne apnī āṅkheṅ āsmān kī taraf uṭhāne tak kī jur’at na kī balki apnī chhātī pīṭ pīṭ kar kahane lagā, ‘ai ḵẖudā, mujh gunāhgār par raham kar!’ 14maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jab donoṅ apne apne ghar lauṭe to farīsī nahīṅ balki yah ādmī allāh ke nazdīk rāstbāz ṭhaharā. kyūṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz kare use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past kare use sarfarāz kiyā jāegā.”

Marqus 10

aṅdhe baratimāī kī shifā

46vah yarīhū pahuṅch gae. us meṅ se guzar kar īsā shāgirdoṅ aur ek baṛe hujūm ke sāth bāhar nikalne lagā. vahāṅ ek aṅdhā bhīk māṅgne vālā rāste ke kināre baiṭhā thā. us kā nām baratimāī (timāī kā beṭā) thā. 47jab us ne sunā ki īsā nāsrī qarīb hī hai to vah chillāne lagā, “īsā ibn-e-dāūd, mujh par raham kareṅ!”

48bahut se logoṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “ḵẖāmosh!” lekin vah mazīd ūṅchī āvāz se pukārtā rahā, “ibn-e-dāūd, mujh par raham kareṅ!”

49īsā ruk kar bolā, “use bulāo.”

chunāṅche unhoṅ ne use bulā kar kahā, “hauslā rakh. uṭh, vah tujhe bulā rahā hai.”

50baratimāī ne apnī chādar zamīn par phaiṅk dī aur uchhal kar īsā ke pās āyā.

51īsā ne pūchhā, “tū kyā chāhatā hai ki maiṅ tere liye karūṅ?”

us ne javāb diyā, “ustād, yah ki maiṅ dekh sakūṅ.”

52īsā ne kahā, “jā, tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.”

Marqus 11

yarūshalam meṅ īsā kā purjosh istiqbāl

1vah yarūshalam ke qarīb bait-fage aur bait-aniyāh pahuṅchne lage. yah gāoṅ zaitūn ke pahāṛ par vāqe the. īsā ne apne shāgirdoṅ meṅ se do ko bhejā 2aur kahā, “sāmne vāle gāoṅ meṅ jāo. vahāṅ tum ek javān gadhā dekhoge. vah baṅdhā huā hogā aur ab tak koī bhī us par savār nahīṅ huā hai. use khol kar yahāṅ le āo. 3agar koī pūchhe ki yah kyā kar rahe ho to use batā denā, ‘ḵẖudāvand ko is kī zarūrat hai. vah jald hī ise vāpas bhej deṅge’.”

4donoṅ shāgird vahāṅ gae to ek javān gadhā dekhā jo bāhar galī meṅ kisī darvāze ke sāth baṅdhā huā thā. jab vah us kī rassī kholne lage 5to vahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne pūchhā, “tum yah kyā kar rahe ho? javān gadhe ko kyūṅ khol rahe ho?”

6unhoṅ ne javāb meṅ vah kuchh batā diyā jo īsā ne unheṅ kahā thā. is par logoṅ ne unheṅ kholne diyā. 7vah javān gadhe ko īsā ke pās le āe aur apne kapṛe us par rakh die. phir īsā us par savār huā. 8jab vah chal paṛā to bahut se logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die. bāz ne harī shāḵẖeṅ bhī us ke āge bichhā dīṅ jo unhoṅ ne khetoṅ ke daraḵẖtoṅ se kāṭ lī thīṅ. 9log īsā ke āge aur pīchhe chal rahe the aur chillā chillā kar nāre lagā rahe the,

“hoshānā[a] hoshānā (ibrānī : meharbānī karke hameṅ bachā). yahāṅ is meṅ hamd-o-sanā kā unsur bhī pāyā jātā hai.!

mubārak hai vah jo rabb ke nām se ātā hai.10mubārak hai hamāre bāp dāūd kī bādshāhī jo ā rahī hai.

[a] hoshānā (ibrānī : meharbānī karke hameṅ bachā). yahāṅ is meṅ hamd-o-sanā kā unsur bhī pāyā jātā hai.

Lūqā 19

jo rabb ke nām se ātā hai.

āsmān par salāmatī ho aur bulandiyoṅ par izzat-o-jalāl.”

39kuchh farīsī bhīṛ meṅ the. unhoṅ ne īsā se kahā, “ustād, apne shāgirdoṅ ko samjhāeṅ.”

40us ne javāb diyā, “maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, agar yah chup ho jāeṅ to patthar pukār uṭheṅge.”

īsā shahar ko dekh kar ro paṛtā hai

41jab vah yarūshalam ke qarīb pahuṅchā to shahar ko dekh kar ro paṛā 42aur kahā, “kāsh tū bhī is din pahachān letī ki terī salāmatī kis meṅ hai. lekin ab yah bāt terī āṅkhoṅ se chhupī huī hai. 43kyūṅki tujh par aisā vaqt āegā ki tere dushman tere ird-gird band bāṅdh kar terā muhāsarā kareṅge aur yūṅ tujhe chāroṅ taraf se gher kar taṅg kareṅge. 44vah tujhe tere bacchoṅ samet zamīn par paṭkeṅge aur tere andar ek bhī patthar dūsre par nahīṅ chhoṛeṅge. aur vajah yahī hogī ki tū ne vah vaqt nahīṅ pahachānā jab allāh ne terī najāt ke liye tujh par nazar kī.”